Bollywood Shayari | Amazing Hindi Movies Shayari Collection with Photos
Shayaris are often used very beautifully in Bollywood movies. It adds a unique touch of Nazaakat to the otherwise regular dialogues of the movies. Shayaris are no doubt, a beautiful way to convey an emotion with intense depth. The delicate nature and words used in Bollywood Shayari has a romantic nature attached to it. In this article, we have shared amazing Hindi Bollywood Shayari, New Bollywood Shayari, Best Bollywood Shayari, Hindi movies Shayari, Filmi Shayari in Hindi, Shayaris from Bollywood Movies in Hindi. Read these Latest Hindi Shayari and share it with your friends and family.
Bollywood Shayari
01.
Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain,
Tum Hoti Toh Kaisa Hota,
Tum Ye Kaheti,
Tum Wo Kaheti,
Tum Iss Baat Pe Hairaan Hoti,
Tum Us Baat Pe Kitana Hansti,
Tum Hoti Toh Aisa Hota,
Tum Hoti Toh Waisa Hota,
Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain…
02.
Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhein Sujane De,
Baaho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jaane De,
Hai Jo Seene Mein Qaid Dariya Wo Chhoot Jayega,
Hai Itna Dard Ki Tera Daaman Bheeg Jaaega.
03.
Tu Mujhe Chahe Na Chahe
Yeh Tere Bas Mein Toh Hai,
Aur Main Tujhko Na Chahun
Yeh Mere Bas Mein Nahi.
04.
Pyar Mein Sauda Karne Ki Aadat In Aamiron Ki …
Jaan Le Leti Hai Hum Jaise Gareebon Ki.
05.
Tumsa Koi Aur Is Zameen Pe Hua
To RAb Se Shikayat Hogi,
Tumhein Chahne Waala Koi Aur Hua,
Toh Qayamat Se Pehle Qayamat Hogi.
06.
Dil Ke Chhalon Ko
Koi Shayari Kahe Toh Parwaah Nahi,
Taqleef Toh Tab Hoti Hai
Jab Koi Waah Waah Waah Karta Hai.
07.
Badi Muddat Se Mere Dil Mein
Ek Tasveer Behti Hai,
Teri Zulfon Ki Chaanv Mein,
Meri Taqdeer Behti Hai.
09.
Mohabbat Rang Lati Hai Jab Dil Se Dil Milte Hai …
Mushkil Toh Yeh Hai, Ki Dil Badi Mushkil Se Milte Hai.
10.
Shaam Hai, Baarish Hai, Pyar Ka Mausam Hai,
Sun Lene DE Hawa Main Faile Hue Sangeet Ko.
Aag Hai, Tadap Hai, Bebasi Ka Aalam Hai,
Keh Lene De Aaj Kuch Bichhde Hue Meet Ko.
11.
Mohabbat, Hamne Maana Zindagi Barbaad Kar Deti Hai…
Yeh Kya Kam Hai Ki Marr Jane Pe Duniya Yaad Karti Hai.
12.
Hasogi Toh Jeet Jaogi, Rahogi Toh Dil Dukhaogi …
Chahe Paas Raho Nah Raho, Hamesha Apne Saath Paogi
13.
Aarzoo Jhooth Hai,
Aarzoo Ka Fareb Khana Nahi ..
Khush Jo Rahna Ho Zindagi Me Tumhe..
Dil Kabhi Kisi Se Lagana Nahi.
14.
Hamari Iss Duniya Mein
Zindagi Thami Si Rehti Hai,
Kabhi Aaiyega But Banke Baithenge.
15.
Aye Khuda Aaj Yeh Faisla Karde,
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe Hai Maine,
Koi Khushi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kam Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi
Aur Mujhe Fanaa Karde.
16.
Bas Ab Ek Haan Ke Intezaar Me Raat Yunhi Guzar Jaayegi,
Ab Toh Bas Uljhan Hai Saath Mere Neend Kahan Aayegi,
Subah Ki Kiran Na Jaane Konsa Sandesh Laayegi,
Rimjhim Is Gungunayegi Ya Pyaas Adhuri Reh Jaayegi
17.
Aap Bhi Itna Samajh Le Mujhko Samajhne Ke Baad,
Aadmi Majboor Ho Jaata Hai Dil Aane Ke Baad.
18.
Paal Le Koi Rog Nadan Zindagi Ke Vaaste …
Sirf Sehat Ke Sahare Zindagi Katti Nahi
19.
Taqdeerein Badal Jaati Hai,
Zamana Badal Jaata Hai,
Mulkon Ki Tareekh Badal Jati Hai,
Shahenshah Badal Jaate Hai,
Magar Iss Badalti Hui Duniya Mein
Mohabbat Jis Insaan Ka Daaman Thaam Leti Hai,
Wo Insaan Nahi Badalta.
20.
Bachpan Ki Pant Jawani Mein Fit Nahi Hoti …
Aur Har No Ball Pe Free Hit Nahi Hoti
21.
Khushiyan Kisi Ki Mohtaj Nahi Hoti,
Dosti Yuhi Ittefaq Se Nahi Hoti,
Kuch To Maainey Honge Is Pal Ke,
Warna Yuhi Aapse Mulakat Nahi Hoti.
22.
Mil Jaaye Tumhe Tumhari Mohabbat,
To Maan Lo Khuda Tumpar
Meharbaan Ho Gaya, Aur Na Mile,
To Jaan Lo Ke Khuda Tumse Ek Jaan Ho Gaya.